Chalanaa jinhe aayaa thaa pakad kar meri ungalee
woh log mere kad ke baraabar nikal aaye.
Us Shakhs ka sar kaatate hai yeh ahale kabeela
jo gaon ke sardaar se behatar nikal aaye.
Sach bolane ka maine iraadaa hee kiya
mehafil me har eah samta se khanjar nikal aaye.
main jaanta hoon kee yeh khawaab zhuthe hain aur yeh kusheeyaan adhuree hai,
magar zindaa rahane ke leeye mere dost , kuchch galatphamiyan zaruree hain.
Keetana kahaa thaa usasase ki daaman samet lein,
ab woh bhee mere saath pareshaneeyion mein hain.
Woh laash meri pairon tale rauond rahe the
zinhe bachaane ke liye main katla hua tha.
Koi phulon se payaar se karata hai , koi kaanton se payaar karata hai,
ham unse payyar karate hain , zo hamase payaar karata hai.
Sirf eak kadam uthaa tha galat rah-a-shouk mein,
manzilen tamaam umra muzhe dudnanti rahee.
Kuchch log khud apani koshish se , toofan kee zad se bachch neekale,
kuchch log magar mallahoan kee himmat ke sahaare doob gaye.
Dost hee dost ka saath deeya karate hain,
dost hee dost ko gam deeya karate hain.
Zindagee mein kuchch pal aaise bhee aate hain,
jab dost hee dost ko badnaam kiya karate hain.
Muddat ke baad eak tabassum meela hamen,
woh bhee kuchch yaisa talkh kee aansu nikal pade.
Main kabhi na muskuraata zo muzhe yeh ilam hota,
ki hazar gam milenge muzhe eak khushee ke pehale.
Yahee hai Zindagi... kuchch khawaab , chand ummeende,
Inahi khilloane se tum bhee bahal sako to chalo.
Armaan tamaam umara ke seene mein dafan hai
ham chalate feerate log mazaaron se kam nahin.
Baha gaya waqt ke sailab mein wo bhee aakhir,
eak lamha jo guzarane me tha sadiyon jaisa.
Ab dhool se ate huye rastoan pe hai safar
woh deen gaye ki kadamoan tale narm ghaas thi.
Har shaam ghar to laut ke aataa rahaa magar
ghar mein kabhi main khud ko mukammal na laa saka.
Main chup raha to aaur bhi galataphamiyian badi,
wo bhi suna hai usane jo maine kabhi kaha nahin.
Mera har din teri raat se achchaa hoga,
mera har sher tery jasabataa se achchaa hoga,
inahi niganhon se dekhana...... ye bewafa,
mera janaza teri baaraat se achchaa hoga.
Muzhe chchedane ko sakee ne deeya zo zaam ultaa
to kiya bahak ke maine use eak salaam ultaa.
Massom apne aap mein woh bhee bala ke the,
tohamat hamaare katla kee zin katilon pe thi.
Sahar foonkane walon yeh khayal bhi rakhana ,
doston ke ghar bhi hain dushamano ke basti mein.
AAz basti mein utha hai dhuan , to uthataa rahe,
aag keesake ghar lagi , pad lenge kal ke akhbaa mein.
Apno kee chaahaton ne bhee kya-kya deeye fareb,
rote rahe leepat ke har eak azanabi se ham.
Bas ,ab ye nakhudaa toofan me hamko doob jaane de
woh rote hain zinhe kashtee keenare pe uttaar aayee.
Bahut dinon ke se meela bhi to yun khaamosh raha
ki jaise meri tarah woh bhi akelaa hai.
Baton baton mein koi baat khatak jaati hai,
eak-do lafza hee begaanaa banaa deten hain.
Dil ke saahil pe kya sukoon milataa hai,
dekh aaye tadap samunder kee.
Mere yaar muzhe loot ke luate hain aabhi
mere dushman tuzhe is baar bhi der ho gayee.
Yeh muhabbat hai zara soch samazh kar rona
eak aansoo bhi zo toota to sunaayee dega.
Na thee jinko fikre-manzil unhe raas aayee manzil,
woh kadam kadam bhatake zo chale bahut sambhal ke.
Kisi ko ghar se nikalte hee meel gayee manzil,
koai hamari tarah umar bhar safar mein raha.
Jo chal ke aaten hain khud dushamon ke ghere mein,
faraar hone kaa woh raastaa bhee rakhaten hain.
Baha ke ley gayaa sailaab waqt kaa unako
zo baithe soch rahe the ki kya keeya jaaye.
Kal samazhata thaa jisako vidwaane hyat
haath mein patthar leeye woh paagalon ke saath hai.
Eak umra baad meela hai to muskura ke meel,
zo kuska ho chuke un aansunyo kee baat na kar.
Woh eak baar mare jinko thaa zidagi se pyaar,
zi zindagi se bhaagate the , roz marate the.
Azanabi kee tarah mil jayo keesi mod pe tum,
gujare kal ki har baat bhulaa di maine.
Iazahar par to pahale bhee pabandiyan na thee
lekin badon ke saamane ham bolten naa the.
Mumkin hai kal zubaano-kalam par ho bandishein
aankhon ko guftago kaa salikaa sikhayeeye.
Har mod pe guman hai kee apani galee hai yeh
kitane aazeeb mod hain zaalim ke shahar mein.
Zahan huyee hai zarurat muzhe sahaare ki,
huyen hain aap isee mode par zudaa muzhase.
Lafzon kee raftaa raftaa zarurat nahin rahi,
aab wo bhee sun liya hai zo usane kahaa na thaa.
Eas zindagi ko kaise kahun apani zindagi,
eak saans bhi nahin hai mere yekhteeyaar mein.
Eak dushare se woh bhi pareecheet na ho sake
zinake gharon ke beech mein deewaar bhi na thee.
Muddat huyee eas shahar mein rahate huye lekin
dil hai kee abhi tak to akelaa hee rahaa hai.
Gar-chiraango ki hifaazat unahen saunpee gayee
roshani ke eas shahar mein bas eak dhuyan rah jayegaa.
Kaisi mashaal leke chale andhere mein aap
zo roshani thee wo bhee salaamat nahin rahi.
Ban kamaron mein bhi sannaaton se ghabaraataa nahin,
saath mere silasile hain aapaki aawaz ke.
Bachche hoshiyaar hain , jamane kee khabar rakhaten hain,
bude kahate hain kee bachchon ko pataa hee kyaa hai.
Raatbhar chaand ki thandak main sulagataa hai badan
koi tanhai ke dojakh se nikaale muzhako.
Eak umar se hai deel main khandahar ki khaamoshee
eash dar pe dastakon kee sadaa chahiye muzhe.
Kuchchch samazh kar hi khudaa tuzhako kahaa hai waranaa
kaun see baat kahee eatane yakeen se hamane.
Suna hai woh bhee muhabbat kaa shouk rakhane lage
jinhe khabar hee nahin kuchch wafaa ke baare mein.
Do ghadi dil ke bahalane kaa sahaaraa bhee gayaa
liziye aaz tasavvoor mein bhee tanhayee hai.
Dekhane aaye to woh apani muhabbat kaa asar
kahane ko yeh hai ki aaye the ayaadat karane.
Jisane kuchch yehasaan kiya , eak bozh ham par rakh diya
sar se tinakaa kyaa uttaaraa , sar pe chchappar rakh diya.
Yeh bhee fareb hain darde-ashiqui ke
ham mar ke kyaa karenge , kyaa kar liya hai jee ke.
Faryaad kar rahee hai , yeh tarasee huyee nigaah
dekhe huye kisi ko bahut din gujar gaye.
Muddat ke baad usane jo kee prem kee nigaah
jee khush ho gayaa magar aansoo neekal pade.
Tukade tukade din beetaa , dhajji-dhajji raat meeli,
jisakaa jitanaa aanchal thaa , uatani hi saugaat meeli.
Ham AAH bhi karaten hain to ho jaate hain badanaam.
woh qatla bhi karate hain to charchaa nahin hotaa.
Eas sadagi pe kaun na mar jaaye ye khudaa
ladate hain aur haath main talwaar bhee nahin.
Tum unake waade ka jikra unase kyon karon gaalib
yeh kyaa kee tum kaho aur woh kahen kee yaad nahin.
Won chod gayaa muzhako to yakeen aayaa
koi bhee shakhsh jaruree nahin kisi ke liye.
Eak zara si baat par barson ke yaarane gaye
lekin itanaa to hua kuchch log pahachchaane gaye.
Abhi kamsin ho rahane do , kahin kho doge dil mera,
tumaahre hee liye rakhaa hai , le lena jawan hokar.
No comments:
Post a Comment